Facebook, blogspot, tv channels aur mukhttalif akhbarat main tabsare sun ker mera dimag kharab ho raha hai, log aik taraf to Pakistan k Islami hone ki baat kerte hain aur dosri taraf Amrica se apne taluqat aur War on Terror main Pakistani ki taraf se Amrica k lia di jane wale qurbanio ko wasi tor per pesh karte hain. Islami aur Amrica ka haami pse manzar pesh karne k baad Amrica ki taraf se hamle ki bhayanak tasveer pesh karte howe batate hain k hume to koi chu nahi sake ga Cheen hamari peth per hai, Iran hamare sath hai, Saudi Arab bhi hamara dost hai, Turkey aur hamari dosti ki misale nahi milti, hume to fatah karna na mumkin hai lakin wo yeh baat bhool jate hain k aik baar Allah SWT rooth jay to phir kon sath hain yeh kuch maani nahi rakhta. Bas aik cheez maani rakhti hai aur wo yeh k tamam dunya nazrain jamaye beth jati hai sirf yeh dekhne k lia k yeh quom kab is jahan-e-fani se kooch karti hai. Aaj maano ya na maano Pakistan usi mor per hai tamam dunya ki nazrain hamari taraf hain. Ab hum per munhasir hai k hum aik ho jay aur apne aapas k tamam ikhtalafat ko bhula dain ya phir isi tarah dushman k panjo ki zeenat ban jain.
0 comments:
Post a Comment